bazm mein mujhse mila de koi parwane ko
bazm meñ mujh se milā de koī parvāne ko
ḳhuub samjhā.egā dīvāna hī dīvāne ko
sāqiyā uzr na kar piine de rindoñ ko yahīñ
kaun ghar bāñdh ke le jā.egā maiḳhāne ko
aap ke hausla-e-dil se to maiñ vāqif huuñ
is bhulāve meñ na suniye mire afsāne ko
ḳhāl-e-ruḳh us pe tire gesu-e-pur-pech kā jaal
murġh-e-dil kyoñ na phañse dekh le jab daane ko
vahshī āḳhir ko to vahshī hai na samjhegā kabhī
saarī duniyā agar aa.e use samjhāne ko
qissa-e-shām-e-alam kis ko sunā.e 'shabbīr'
paas tak koī biThātā nahīñ dīvāne ko
bazm mein mujh se mila de koi parwane ko
KHub samjhaega diwana hi diwane ko
saqiya uzr na kar pine de rindon ko yahin
kaun ghar bandh ke le jaega maiKHane ko
aap ke hausla-e-dil se to main waqif hun
is bhulawe mein na suniye mere afsane ko
KHal-e-ruKH us pe tere gesu-e-pur-pech ka jal
murgh-e-dil kyon na phanse dekh le jab dane ko
wahshi aaKHir ko to wahshi hai na samjhega kabhi
sari duniya agar aae use samjhane ko
qissa-e-sham-e-alam kis ko sunae 'shabbir'
pas tak koi biThata nahin diwane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.