bazm mein sare hi ba-hosh nazar aate hain
bazm meñ saare hī bā-hosh nazar aate haiñ
sab adab kī mujhe āġhosh nazar aate haiñ
oḌh lete haiñ mohabbat kī vo chādar aisī
jo haiñ darvesh vo ḳhāmosh nazar aate haiñ
jin ko chalnā thā mirī qaum kā rahbar ban kar
haañ vahī log subuk-dosh nazar aate haiñ
apne rahbar to yahāñ karte nahīñ haiñ kuchh bhī
bolne meñ to ye pur-josh nazar aate haiñ
dost ahbāb kiyā karte haiñ vā'de lekin
vaqt-e-mushkil meñ vo mad.hosh nazar aate haiñ
'ilm ke jo bhī samundar haiñ zamāne-bhar meñ
un ko jab dekho to ḳhāmosh nazar aate haiñ
un se ummīd-e-vafā bhī to nahīñ kar sakte
vo to ehsān-farāmosh nazar aate haiñ
jaan dete haiñ 'hunar' haq pe jo marte hī nahīñ
merī āñkhoñ se vo rū-posh nazar aate haiñ
bazm mein sare hi ba-hosh nazar aate hain
sab adab ki mujhe aaghosh nazar aate hain
oDh lete hain mohabbat ki wo chadar aisi
jo hain darwesh wo KHamosh nazar aate hain
jin ko chalna tha meri qaum ka rahbar ban kar
han wahi log subuk-dosh nazar aate hain
apne rahbar to yahan karte nahin hain kuchh bhi
bolne mein to ye pur-josh nazar aate hain
dost ahbab kiya karte hain wa'de lekin
waqt-e-mushkil mein wo madhosh nazar aate hain
'ilm ke jo bhi samundar hain zamane-bhar mein
un ko jab dekho to KHamosh nazar aate hain
un se ummid-e-wafa bhi to nahin kar sakte
wo to ehsan-faramosh nazar aate hain
jaan dete hain 'hunar' haq pe jo marte hi nahin
meri aankhon se wo ru-posh nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.