bazm mein wo baiThta hai jab bhi aage samne
bazm meñ vo baiThtā hai jab bhī aage sāmne
maiñ laraz uThtā huuñ us kī har adā ke sāmne
tujh ko har dam māñgtā huuñ jāgtā huuñ raat bhar
aur kaise haath phailā.ūñ ḳhudā ke sāmne
munharif hotā gayā har shaḳhs apnī raah se
koī Thahrā hī nahīñ us kī sadā ke sāmne
mujh pe hī ilzām rakh kar har taraf rusvā kiyā
koī chāra hī nahīñ thā be-vafā ke sāmne
tez āñdhī thī uḌā kar le ga.ī mujh ko kahāñ
ek tinkā thā kahāñ ruktā havā ke sāmne
bazm mein wo baiThta hai jab bhi aage samne
main laraz uThta hun us ki har ada ke samne
tujh ko har dam mangta hun jagta hun raat bhar
aur kaise hath phailaun KHuda ke samne
munharif hota gaya har shaKHs apni rah se
koi Thahra hi nahin us ki sada ke samne
mujh pe hi ilzam rakh kar har taraf ruswa kiya
koi chaara hi nahin tha be-wafa ke samne
tez aandhi thi uDa kar le gai mujh ko kahan
ek tinka tha kahan rukta hawa ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.