be-ab mausamon ka saman kar ke roya
be-āb mausamoñ kā sāmān kar ke royā
ye dil ki aañkh ko bhī vīrān kar ke royā
is ḳhair-ḳhvāh ko bhī ḳhud hī tasalliyāñ duuñ
kis kis duā kā vo bhī nuqsān kar ke royā
sāvan kī zad meñ aa.e phir qahqahe basantī
terā ḳhayāl ham ko hairān kar ke royā
us ko pata nahīñ thā laa.e the pal kī mohlat
vo mezbān ham ko mehmān kar ke royā
DhūñDā farār us ne jab ik rafīq-e-nau meñ
vo apnī mushkiloñ ko āsān kar ke royā
be-ab mausamon ka saman kar ke roya
ye dil ki aankh ko bhi viran kar ke roya
is KHair-KHwah ko bhi KHud hi tasalliyan dun
kis kis dua ka wo bhi nuqsan kar ke roya
sawan ki zad mein aae phir qahqahe basanti
tera KHayal hum ko hairan kar ke roya
us ko pata nahin tha lae the pal ki mohlat
wo mezban hum ko mehman kar ke roya
DhunDa farar us ne jab ek rafiq-e-nau mein
wo apni mushkilon ko aasan kar ke roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.