be-aman raston pe ghabrae hue ye chehre
be-amāñ rastoñ pe ghabrā.e hue ye chehre
DhūñDhte kis ko haiñ uktā.e hue ye chehre
ab nahīñ māñgte biitī huī pahchān apnī
māñjh kar ret se chamkā.e hue ye chehre
jaan dene kī jagah jaan na de paa.e jo
phir kahāñ khilte haiñ murjhā.e hue ye chehre
jaane kis shām-e-javānī kī tamanna haiñ unheñ
chale haiñ zulfoñ ko bikhrā.e hue ye chehre
ab zamāne meñ rahe sāhib-e-idrāk kahāñ
pesh haiñ sāmne phuslā.e hue ye chehre
apnī hī mad.h-o-satā.ish meñ giraftār-o-asīr
phuul se logoñ ke sharmā.e hue ye chehre
ḳhud añdheroñ kī mulāqāt se Dar jaate haiñ
ḳhauf ke phandoñ pe lahrā.e hue ye chehre
ab bhī likhte haiñ mohabbat meñ qasīde har roz
siine se yādoñ ko lipTā.e hue ye chehre
be-aman raston pe ghabrae hue ye chehre
DhunDhte kis ko hain uktae hue ye chehre
ab nahin mangte biti hui pahchan apni
manjh kar ret se chamkae hue ye chehre
jaan dene ki jagah jaan na de pae jo
phir kahan khilte hain murjhae hue ye chehre
jaane kis sham-e-jawani ki tamanna hain unhen
chale hain zulfon ko bikhrae hue ye chehre
ab zamane mein rahe sahib-e-idrak kahan
pesh hain samne phuslae hue ye chehre
apni hi madh-o-sataish mein giraftar-o-asir
phul se logon ke sharmae hue ye chehre
KHud andheron ki mulaqat se Dar jate hain
KHauf ke phandon pe lahrae hue ye chehre
ab bhi likhte hain mohabbat mein qaside har roz
sine se yaadon ko lipTae hue ye chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.