be-amal phul-phal nahin sakte
be-amal phūl-phal nahīñ sakte
jaise ma.azūr chal nahīñ sakte
aag gulzār ho to saktī hai
aag par ham hī chal nahīñ sakte
ham se pahle chale to haiñ kuchh log
ham se aage nikal nahīñ sakte
but-kade ke hoñ yā haram ke charāġh
be-jalā.e to jal nahīñ sakte
kaun mānegā apnī sachchā.ī
ham havāoñ pe chal nahīñ sakte
log duniyā badalnā chāhte haiñ
aur ḳhud ko badal nahīñ sakte
ḳhaak ujāloñ kī tarah phaileñge
jo charāġhoñ sā jal nahīñ sakte
maut anjām kyoñ na ho 'zebā'
ham irāde badal nahīñ sakte
be-amal phul-phal nahin sakte
jaise mazur chal nahin sakte
aag gulzar ho to sakti hai
aag par hum hi chal nahin sakte
hum se pahle chale to hain kuchh log
hum se aage nikal nahin sakte
but-kade ke hon ya haram ke charagh
be-jalae to jal nahin sakte
kaun manega apni sachchai
hum hawaon pe chal nahin sakte
log duniya badalna chahte hain
aur KHud ko badal nahin sakte
KHak ujalon ki tarah phailenge
jo charaghon sa jal nahin sakte
maut anjam kyon na ho 'zeba'
hum irade badal nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.