be-barg-o-samar ho to shajar kaise kahunga
be-barg-o-samar ho to shajar kaise kahūñgā
phir dasht ko dariyā kā safar kaise kahūñgā
mar jaatī hai dab kar koī ḳhvāhish mire dil meñ
girtī huī dīvār ko ghar kaise kahūñgā
sad-parda-e-ḳhalvat meñ chamaktī hai mirī ruuh
dil meñ hai mire shams-o-qamar kaise kahūñgā
be-māya o be-kas hī sahī terī hayā huuñ
ho jaa.e tirī mujh pa nazar kaise kahūñgā
maiñ tire liye hijr kī ik bahtī havā huuñ
tū aa mujhe āġhosh meñ bhar kaise kahūñgā
ehsās ke bādal meñ chhupā hai koī sūraj
ye din kā ujālā hai magar kaise kahūñgā
maḳhdūsh hai ye ghar bhī jo hai terī amānat
tū aa ke mirī jaañ meñ utar kaise kahūñgā
ik misra-e-āvāra to uThtā nahīñ mujh se
aatā hai ġhazal kā bhī hunar kaise kahūñgā
be-barg-o-samar ho to shajar kaise kahunga
phir dasht ko dariya ka safar kaise kahunga
mar jati hai dab kar koi KHwahish mere dil mein
girti hui diwar ko ghar kaise kahunga
sad-parda-e-KHalwat mein chamakti hai meri ruh
dil mein hai mere shams-o-qamar kaise kahunga
be-maya o be-kas hi sahi teri haya hun
ho jae teri mujh pa nazar kaise kahunga
main tere liye hijr ki ek bahti hawa hun
tu aa mujhe aaghosh mein bhar kaise kahunga
ehsas ke baadal mein chhupa hai koi suraj
ye din ka ujala hai magar kaise kahunga
maKHdush hai ye ghar bhi jo hai teri amanat
tu aa ke meri jaan mein utar kaise kahunga
ek misra-e-awara to uThta nahin mujh se
aata hai ghazal ka bhi hunar kaise kahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.