be-bason ya be-sahaaron aur be-chaaron ka sath
be-basoñ yā be-sahāroñ aur be-chāroñ kā saath
kaun detā hai yahāñ ab vaqt ke māroñ kā saath
ye to rukne kā ḳhudārā naam hī lete nahīñ
āñsuoñ ko mil gayā hai kaun se dhāroñ kā saath
maiñ agar chhoḌā gayā to kyoñ use ilzām duuñ
chāñd bhī to chhoḌ de hai TūTte tāroñ kā saath
bhuuk ke har mas.ale ko un se jā ke pūchhiye
bhuuk ne kaaTā ho jin ke saath aThvāroñ kā saath
ab ke ye barsāt mere sar se chhat bhī le ga.ī
mere ghar ko chāhiye thā aur dīvāroñ kā saath
sar paTaktī phir rahī sachchā.ī 'ābid' dar-ba-dar
har taraf se le chukā hai jhuuT aḳhbāroñ kā saath
be-bason ya be-sahaaron aur be-chaaron ka sath
kaun deta hai yahan ab waqt ke maron ka sath
ye to rukne ka KHudara nam hi lete nahin
aansuon ko mil gaya hai kaun se dhaaron ka sath
main agar chhoDa gaya to kyon use ilzam dun
chand bhi to chhoD de hai TuTte taron ka sath
bhuk ke har masale ko un se ja ke puchhiye
bhuk ne kaTa ho jin ke sath aThwaron ka sath
ab ke ye barsat mere sar se chhat bhi le gai
mere ghar ko chahiye tha aur diwaron ka sath
sar paTakti phir rahi sachchai 'abid' dar-ba-dar
har taraf se le chuka hai jhuT aKHbaron ka sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.