be-chehragi-e-zat ka mafhum rahe hain
be-chehragī-e-zāt kā mafhūm rahe haiñ
ham halqa-bagoshoñ meñ bhī mādūm rahe haiñ
tum nāsiya-farsā.ī ko dar DhūñDne jaao
ham naqsh-e-kaf-e-pā-e-anā chuum rahe haiñ
ham shā.ir-e-akbar kī fasāhat ke nagīne
har rang meñ har ruup meñ manzūm rahe haiñ
kyā mo.ajiza is ḳhaak se phūTegā jahāñ log
paanī se nahīñ pyaas se mahrūm rahe haiñ
ai dast-e-yaqīñ lams tayaqqun kā atā kar
ik arse se ham nuqta-e-mauhūm rahe haiñ
ab kaun ye samjhegā 'safar' bar-sar-e-maqtal
ham larza-bar-andām haiñ yā jhuum rahe haiñ
be-chehragi-e-zat ka mafhum rahe hain
hum halqa-bagoshon mein bhi madum rahe hain
tum nasiya-farsai ko dar DhunDne jao
hum naqsh-e-kaf-e-pa-e-ana chum rahe hain
hum shair-e-akbar ki fasahat ke nagine
har rang mein har rup mein manzum rahe hain
kya moajiza is KHak se phuTega jahan log
pani se nahin pyas se mahrum rahe hain
ai dast-e-yaqin lams tayaqqun ka ata kar
ek arse se hum nuqta-e-mauhum rahe hain
ab kaun ye samjhega 'safar' bar-sar-e-maqtal
hum larza-bar-andam hain ya jhum rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.