be-dad-kash hain hum koi bedad-gar nahin
be-dād-kash haiñ ham koī bedād-gar nahīñ
dil kis ko dījiye koī tum sā bashar nahīñ
kahte haiñ vo ki baat tirī mo'atabar nahīñ
ye bhī kināya hai ki fuġhāñ meñ asar nahīñ
lillāh teġh-e-nāz karo ab miyān meñ
bismil hai ik jahāñ koī baaqī bashar nahīñ
tadbīr meñ bhī pā-e-muqaddar hai darmiyāñ
sach hai kisī ke haath meñ naf-o-zarar nahīñ
saudā-e-zulf-e-yār kā qissa na pūchhiye
ye dāstāñ darāz hai kuchh muḳhtasar nahīñ
us but kā kis se shikva-e-bedād kījiye
us samt ko ḳhudā.ī hai koī idhar nahīñ
jab tak bahā-e-bosa na doge na deñge ham
paa.e paḌe hue dil-o-jān-o-jigar nahīñ
maanā abhī na aa.e magar va.ada to kiyā
kyūñkar kahūñ duā-e-sahar meñ asar nahīñ
kyā kah ke soz-e-ishq kā qissa sunā.eñ ham
ātish nahīñ hai barq nahīñ hai sharar nahīñ
sar rakh diyā hai paañv pe qātil ke dekhnā
aatā hai yā vo qaabū meñ yā apnā sar nahīñ
pūchhā na us ne sang-dilī se vagarna kyā
hāl-e-ḳharāb kī mire us ko ḳhabar nahīñ
īmān-o-hubb-e-āl-e-nabī saath hai 'fidā'
be-zād-o-rāhila ye adam kā safar nahīñ
be-dad-kash hain hum koi bedad-gar nahin
dil kis ko dijiye koi tum sa bashar nahin
kahte hain wo ki baat teri mo'atabar nahin
ye bhi kinaya hai ki fughan mein asar nahin
lillah tegh-e-naz karo ab miyan mein
bismil hai ek jahan koi baqi bashar nahin
tadbir mein bhi pa-e-muqaddar hai darmiyan
sach hai kisi ke hath mein naf-o-zarar nahin
sauda-e-zulf-e-yar ka qissa na puchhiye
ye dastan daraaz hai kuchh muKHtasar nahin
us but ka kis se shikwa-e-bedad kijiye
us samt ko KHudai hai koi idhar nahin
jab tak baha-e-bosa na doge na denge hum
pae paDe hue dil-o-jaan-o-jigar nahin
mana abhi na aae magar wada to kiya
kyunkar kahun dua-e-sahar mein asar nahin
kya kah ke soz-e-ishq ka qissa sunaen hum
aatish nahin hai barq nahin hai sharar nahin
sar rakh diya hai panw pe qatil ke dekhna
aata hai ya wo qabu mein ya apna sar nahin
puchha na us ne sang-dili se wagarna kya
haal-e-KHarab ki mere us ko KHabar nahin
iman-o-hubb-e-al-e-nabi sath hai 'fida'
be-zad-o-rahila ye adam ka safar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.