be-daKHl dil se maine kiya KHwahishat ko
be-daḳhl dil se maiñ ne kiyā ḳhvāhishāt ko
hairat meñ Daal aaya huuñ maiñ kā.enāt ko
qirtās kī dhamāl pe nazreñ jamā.iye
Tapkegā ḳhuun likhūñgā jab vārdāt ko
ham ne alag basā.ī hai duniyā fareb kī
paiġhām jā ke dījiye kiina sifāt ko
hai sātveñ jihat bhī koī to batā mujhe
dekhe hī jā rahā huuñ tirī shash-jihāt ko
tārīḳh-e-dīñ-faroshoñ meñ likhegī un kā naam
jo shakl de rahe haiñ na.e vāqi.āt ko
aa.e ajal daboch le qissa tamām ho
kis ne kahā tarastā huuñ āb-e-hayāt ko
ye ġhair kā nahīñ kisī apne kā kaam hai
pahchāntā huuñ apne parā.e ke haath ko
lagtā hai sukh kā saañs nahīñ aap ko 'azīz
'mājid' na tuul dījiye har ek baat ko
be-daKHl dil se main ne kiya KHwahishat ko
hairat mein Dal aaya hun main kaenat ko
qirtas ki dhamal pe nazren jamaiye
Tapkega KHun likhunga jab wardat ko
hum ne alag basai hai duniya fareb ki
paigham ja ke dijiye kina sifat ko
hai satwen jihat bhi koi to bata mujhe
dekhe hi ja raha hun teri shash-jihat ko
tariKH-e-din-faroshon mein likhegi un ka nam
jo shakl de rahe hain nae waqiat ko
aae ajal daboch le qissa tamam ho
kis ne kaha tarasta hun aab-e-hayat ko
ye ghair ka nahin kisi apne ka kaam hai
pahchanta hun apne parae ke hath ko
lagta hai sukh ka sans nahin aap ko 'aziz
'majid' na tul dijiye har ek baat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.