be-dam hue yun ho ke giraftar-e-mohabbat
be-dam hue yuuñ ho ke giraftār-e-mohabbat
kahtā hai masīhā ki huuñ bīmār-e-mohabbat
rotā hai shab-e-hijr meñ dil ḳhuun ke aañsū
miltā nahīñ koī use ġham-ḳhvār-e-mohabbat
in husn kī galiyoñ meñ ḳharīdār bahut haiñ
lagtā hai shab-o-roz ye bāzār-e-mohabbat
alfāz haiñ ḳhanjar to bujhā zahr meñ lahja
aise meñ bhalā kaise ho iqrār-e-mohabbat
ab ishq hai rusvā to bigaḌtā hai tirā kyā
be-kār meñ kartā hai tū paikār-e-mohabbat
miT jā.eñge ham un ko ḳhabar tak nahīñ hogī
ye soch ke karnā paḌā iz.hār-e-mohabbat
ab dekheñ vahāñ kaun lagā.e na.ī bolī
aate haiñ jahāñ roz ḳharīdār-e-mohabbat
tanhā.ī meñ sochā tujhe jaanā tujhe samjhā
phir khulne lage ham pe bhī asrār-e-mohabbat
'tishna' se kareñ log mohabbat kī jo bāteñ
kaise maiñ batā.ūñ ki huuñ be-zār-e-mohabbat
be-dam hue yun ho ke giraftar-e-mohabbat
kahta hai masiha ki hun bimar-e-mohabbat
rota hai shab-e-hijr mein dil KHun ke aansu
milta nahin koi use gham-KHwar-e-mohabbat
in husn ki galiyon mein KHaridar bahut hain
lagta hai shab-o-roz ye bazar-e-mohabbat
alfaz hain KHanjar to bujha zahr mein lahja
aise mein bhala kaise ho iqrar-e-mohabbat
ab ishq hai ruswa to bigaDta hai tera kya
be-kar mein karta hai tu paikar-e-mohabbat
miT jaenge hum un ko KHabar tak nahin hogi
ye soch ke karna paDa izhaar-e-mohabbat
ab dekhen wahan kaun lagae nai boli
aate hain jahan roz KHaridar-e-mohabbat
tanhai mein socha tujhe jaana tujhe samjha
phir khulne lage hum pe bhi asrar-e-mohabbat
'tishna' se karen log mohabbat ki jo baaten
kaise main bataun ki hun be-zar-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.