be-din ho gae use din-dar dekh kar
be-dīn ho ga.e use dīn-dār dekh kar
phande meñ us ke phañs ga.e zunnār dekh kar
chhoḌā hai duḳht-e-raz tujhe bekār dekh kar
kaise lagā.ūñ muñh tujhe murdār dekh kar
koThe se maar maar ke aiñThan uThā diyā
baiThā kabhī jo sāya-e-dīvār dekh kar
dam band ḳhuun ḳhushk chhurī-bandoñ kā huā
kūche meñ un ke pushtoñ kā ambār dekh kar
vahshat ko sun ke bole 'ināyat' se yuuñ tabīb
ham kaise haath Dāleñ ye āzār dekh kar
be-din ho gae use din-dar dekh kar
phande mein us ke phans gae zunnar dekh kar
chhoDa hai duKHt-e-raz tujhe bekar dekh kar
kaise lagaun munh tujhe murdar dekh kar
koThe se mar mar ke ainThan uTha diya
baiTha kabhi jo saya-e-diwar dekh kar
dam band KHun KHushk chhuri-bandon ka hua
kuche mein un ke pushton ka ambar dekh kar
wahshat ko sun ke bole 'inayat' se yun tabib
hum kaise hath Dalen ye aazar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.