be-dili mein bhi dil baDa rakhna
be-dilī meñ bhī dil baḌā rakhnā
ye darīcha sadā khulā rakhnā
raat ke sehr meñ hai saarā nagar
apne ghar kā diyā jalā rakhnā
ye ghaḌī sabr-āzmā hogī
zinda rahne kā hausla rakhnā
saarī ḳhushiyāñ vafā nahīñ kartīñ
dard se dil ko āshnā rakhnā
bhuul kar bhī na dil pe mail aa.e
aa.ina ye sadā dhulā rakhnā
sīñch kar ḳhuuñ se ek ik lamha
peḌ patjhaḌ meñ bhī harā rakhnā
phal kabhī to khilā.egī ye havā
apnī niyyat kā aasrā rakhnā
be-dili mein bhi dil baDa rakhna
ye daricha sada khula rakhna
raat ke sehr mein hai sara nagar
apne ghar ka diya jala rakhna
ye ghaDi sabr-azma hogi
zinda rahne ka hausla rakhna
sari KHushiyan wafa nahin kartin
dard se dil ko aashna rakhna
bhul kar bhi na dil pe mail aae
aaina ye sada dhula rakhna
sinch kar KHun se ek ek lamha
peD patjhaD mein bhi hara rakhna
phal kabhi to khilaegi ye hawa
apni niyyat ka aasra rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.