be-gharaz karte raho kaam mohabbat wale
be-ġharaz karte raho kaam mohabbat vaale
ḳhud mohabbat kā haiñ in'ām mohabbat vaale
lafz phūloñ kī tarah chun kar use daan karo
us pe jachte haiñ sabhī naam mohabbat vaale
sharmgīñ nazreñ tabassum yā chhalakte aañsū
be-sadā hote haiñ paiġhām mohabbat vaale
ḳhud ko bechā to nahīñ maiñ ne magar sochūñgā
vo lagā.e to sahī daam mohabbat vaale
dil kī chaupāl meñ mahfil sī jamī rahtī hai
milne aate haiñ sar-e-shām mohabbat vaale
ġham kisī kā bhī ho dete haiñ jagah pahlū meñ
dil baḌā rakhte haiñ nākām mohabbat vaale
log andar se ye hote haiñ baḌe ‘ālī-shān
vaise lagte haiñ bahut 'aam mohabbat vaale
be-gharaz karte raho kaam mohabbat wale
KHud mohabbat ka hain in'am mohabbat wale
lafz phulon ki tarah chun kar use dan karo
us pe jachte hain sabhi nam mohabbat wale
sharmgin nazren tabassum ya chhalakte aansu
be-sada hote hain paigham mohabbat wale
KHud ko becha to nahin main ne magar sochunga
wo lagae to sahi dam mohabbat wale
dil ki chaupal mein mahfil si jami rahti hai
milne aate hain sar-e-sham mohabbat wale
gham kisi ka bhi ho dete hain jagah pahlu mein
dil baDa rakhte hain nakaam mohabbat wale
log andar se ye hote hain baDe ‘ali-shan
waise lagte hain bahut 'am mohabbat wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.