be-his o kaj-fahm o la-parwa kahe
be-his o kaj-fahm o lā-parvā kahe
kal muarriḳh jaane ham ko kyā kahe
is tarah rahte haiñ is ghar ke makīñ
jis tarah bahrā sune gūñgā kahe
rāz-hā-e-zabt-e-ġham kyā chhup sakeñ
hoñT jab ḳhāmosh hoñ chehra kahe
is liye har shaḳhs ko dekhā kiyā
kaash koī to mujhe apnā kahe
hai takallum ā.īna ehsās kā
jis kī jaisī soch ho vaisā kahe
paḌh chuke dariyā qasīda abr kā
kyā zabān-e-ḳhushk se sahrā kahe
bad-gumānī sirf merī zaat se
maiñ to vo kahtā huuñ jo duniyā kahe
be-his o kaj-fahm o la-parwa kahe
kal muarriKH jaane hum ko kya kahe
is tarah rahte hain is ghar ke makin
jis tarah bahra sune gunga kahe
raaz-ha-e-zabt-e-gham kya chhup saken
honT jab KHamosh hon chehra kahe
is liye har shaKHs ko dekha kiya
kash koi to mujhe apna kahe
hai takallum aaina ehsas ka
jis ki jaisi soch ho waisa kahe
paDh chuke dariya qasida abr ka
kya zaban-e-KHushk se sahra kahe
bad-gumani sirf meri zat se
main to wo kahta hun jo duniya kahe
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 333)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.