be-hisi ab ke ajab dil pe koi tari hai
be-hisī ab ke 'ajab dil pe koī taarī hai
aañkh meñ ashk nahīñ kaisī 'azā-dārī hai
sub.h tak phir se hameñ jāgte rahnā hogā
aaj kī raat bhī lagtā hai bahut bhārī hai
apnī ġhurbat ko chhupā rakkhā hai is duniyā se
baḌī mushkil se sañbhālī huī ḳhuddārī hai
zā.iqa chakkhā zabāñ ne to ye mahsūs huā
paanī ashkoñ kā to sach-much hī bahut khārī hai
chhoḌ sakte ho na tum mujh ko na ab maiñ tum ko
tum hī batlāo bhalā kaisī ye lāchārī hai
tum ko mashriq meñ to maġhrib meñ mujhe lā pheñkā
dosh apnā nahīñ ye vaqt kī 'ayyārī hai
apne hisse kā har ik jaan ko sahnā hai 'azāb
aaj terī hai to phir kal ko mirī baarī hai
be-hisi ab ke 'ajab dil pe koi tari hai
aankh mein ashk nahin kaisi 'aza-dari hai
subh tak phir se hamein jagte rahna hoga
aaj ki raat bhi lagta hai bahut bhaari hai
apni ghurbat ko chhupa rakkha hai is duniya se
baDi mushkil se sanbhaali hui KHuddari hai
zaiqa chakkha zaban ne to ye mahsus hua
pani ashkon ka to sach-much hi bahut khaari hai
chhoD sakte ho na tum mujh ko na ab main tum ko
tum hi batlao bhala kaisi ye lachaari hai
tum ko mashriq mein to maghrib mein mujhe la phenka
dosh apna nahin ye waqt ki 'ayyari hai
apne hisse ka har ek jaan ko sahna hai 'azab
aaj teri hai to phir kal ko meri bari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.