be-hisi ki dhul mein behis aTe rah jaenge
be-hisī kī dhuul meñ behis aTe rah jā.eñge
log apne apne firqoñ meñ baTe rah jā.eñge
Dhāñp legī jabr kī dhartī parindoñ ke badan
aur bāl-o-par fazāoñ meñ kaTe rah jā.eñge
log utar ā.eñge ġhurbat se mahāz-ārā.ī par
shahr meñ har samt zālim marhaTe rah jā.eñge
jangaloñ kī samt bah jā.egā jismoñ kā hujūm
shahr kī vīrāniyoñ meñ sar kaTe rah jā.eñge
ḳhvāhisheñ uḌ jā.eñgī taaza havā ke saath saath
bistaraoñ par silvaToñ ke jamghaTe rah jā.eñge
āñdhiyāñ malba banā ke chhoḌ jā.eñgī unheñ
hausle apne makānoñ ke DaTe rah jā.eñge
guftugū zehnoñ meñ kuchh tahlīl sī ho jā.egī
ḳhud-baḳhud mafhūm hoñToñ par raTe rah jā.eñge
manzileñ 'aḳhtar' palaT kar dekhtī rah jā.eñgī
ham talab kī raah meñ pīchhe haTe rah jā.eñge
be-hisi ki dhul mein behis aTe rah jaenge
log apne apne firqon mein baTe rah jaenge
Dhanp legi jabr ki dharti parindon ke badan
aur baal-o-par fazaon mein kaTe rah jaenge
log utar aaenge ghurbat se mahaz-arai par
shahr mein har samt zalim marhaTe rah jaenge
jangalon ki samt bah jaega jismon ka hujum
shahr ki viraniyon mein sar kaTe rah jaenge
KHwahishen uD jaengi taza hawa ke sath sath
bistaraon par silwaTon ke jamghaTe rah jaenge
aandhiyan malba bana ke chhoD jaengi unhen
hausle apne makanon ke DaTe rah jaenge
guftugu zehnon mein kuchh tahlil si ho jaegi
KHud-baKHud mafhum honTon par raTe rah jaenge
manzilen 'aKHtar' palaT kar dekhti rah jaengi
hum talab ki rah mein pichhe haTe rah jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.