be-hisi paida hui mere uThe hathon ke bich
be-hisī paidā huī mere uThe hāthoñ ke biich
fāsla maiñ ab rakhūñ apnī munājātoñ ke biich
kachchī ābādī hamārī āfatoñ meñ ghir ga.ī
lambā vaqfa chāhiye thā ab ke barsātoñ ke biich
merī qismat meñ añdhere ab tamanna dil meñ hai
din nikal aa.e kabhī ab dard kī rātoñ ke biich
mujh ko lagtā hai bichhaḌne kā samay nazdīk hai
talḳhiyāñ ab aa ga.iiñ haiñ pyaar kī bātoñ ke biich
saarī ḳhushiyāñ us ko de kar dard mujh ko de diye
munsifoñ ne faisla ye likh diyā khātoñ ke biich
maiñ to samjhā thā vafāoñ kā sila mujh ko diyā
zahr us ne de diyā ab mujh ko sauġhātoñ ke biich
us se jo kahne ga.e the baat dil meñ rah ga.ī
chand lamhe de na paayā vo mulāqātoñ ke biich
be-hisi paida hui mere uThe hathon ke bich
fasla main ab rakhun apni munajaton ke bich
kachchi aabaadi hamari aafaton mein ghir gai
lamba waqfa chahiye tha ab ke barsaton ke bich
meri qismat mein andhere ab tamanna dil mein hai
din nikal aae kabhi ab dard ki raaton ke bich
mujh ko lagta hai bichhaDne ka samay nazdik hai
talKHiyan ab aa gain hain pyar ki baaton ke bich
sari KHushiyan us ko de kar dard mujh ko de diye
munsifon ne faisla ye likh diya khaton ke bich
main to samjha tha wafaon ka sila mujh ko diya
zahr us ne de diya ab mujh ko saughaton ke bich
us se jo kahne gae the baat dil mein rah gai
chand lamhe de na paya wo mulaqaton ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.