be-intiha ho qurb magar is qadar na ho
be-intihā ho qurb magar is qadar na ho
ham jis pe mar rahe haiñ usī ko ḳhabar na ho
mauhūm sī sadā ho magar gūñjtī rahe
ik aam sī du'ā ho magar be-asar na ho
shānoñ kā zikr hote hī sar DhūñDte haiñ log
sar-garmī-e-jahān kī itnī ḳhabar na ho
shā'ir hī khīñch saktā hai paanī pe vo lakīr
aisī ki ek buuñd idhar se udhar na ho
bas do hī sūratoñ meñ nigāheñ haiñ mutma.in
un par nazar rahe yā kisī par nazar na ho
kis chāñd ne kahā thā ki rātoñ ko jāgiye
kab dhuup ne kahā thā ki sar par shajar na ho
is gumrahī meñ DhūñD na.ī manzileñ 'amit'
aglā qadam vahāñ ho jahāñ rah-guzar na ho
be-intiha ho qurb magar is qadar na ho
hum jis pe mar rahe hain usi ko KHabar na ho
mauhum si sada ho magar gunjti rahe
ek aam si du'a ho magar be-asar na ho
shanon ka zikr hote hi sar DhunDte hain log
sar-garmi-e-jahan ki itni KHabar na ho
sha'ir hi khinch sakta hai pani pe wo lakir
aisi ki ek bund idhar se udhar na ho
bas do hi suraton mein nigahen hain mutmain
un par nazar rahe ya kisi par nazar na ho
kis chand ne kaha tha ki raaton ko jagiye
kab dhup ne kaha tha ki sar par shajar na ho
is gumrahi mein DhunD nai manzilen 'amit'
agla qadam wahan ho jahan rah-guzar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.