be-kaif saaton se shanasai de gaya
be-kaif sā.atoñ se shanāsā.ī de gayā
mahfil meñ bhī vo gosha-e-tanhā.ī de gayā
maiñ hijr kī rutoñ meñ bhī khul kar na ro sakī
kuchh is tarah vo dars-e-shakebā.ī de gayā
āzād kyā kiyā use ḳhud ho ga.e asiir
zanjīr apnī kal hameñ saudā.ī de gayā
nā-bīnā sā.atoñ ko parakhnā thā is liye
gūñgī samā.atoñ ko bhī shahnā.ī de gayā
har lafz mujh se izn-e-safar māñgte hue
chup ho ke mujh ko tāqat-e-goyā.ī de gayā
ham qurbatoñ ko jurm samajhte rahe magar
ye fāsla to aur bhī rusvā.ī de gayā
vo ḳhushbuoñ kī rut kā guzartā huā safīr
bachpan to le gayā magar añgnā.ī de gayā
be-kaif saaton se shanasai de gaya
mahfil mein bhi wo gosha-e-tanhai de gaya
main hijr ki ruton mein bhi khul kar na ro saki
kuchh is tarah wo dars-e-shakebai de gaya
aazad kya kiya use KHud ho gae asir
zanjir apni kal hamein saudai de gaya
na-bina saaton ko parakhna tha is liye
gungi samaaton ko bhi shahnai de gaya
har lafz mujh se izn-e-safar mangte hue
chup ho ke mujh ko taqat-e-goyai de gaya
hum qurbaton ko jurm samajhte rahe magar
ye fasla to aur bhi ruswai de gaya
wo KHushbuon ki rut ka guzarta hua safir
bachpan to le gaya magar angnai de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.