be-KHabar kaise koi raaz-e-nihan tak pahunche
be-ḳhabar kaise koī rāz-e-nihāñ tak pahuñche
baat dil se kahīñ nikle to zabāñ tak pahuñche
sāhibān-e-ḳhirad-o-hosh bhaTakte hī phire
aur dīvānoñ kā jī chāhā jahāñ tak pahuñche
tere dīvānoñ kī manzil koī manzil hī nahīñ
kyā ḳhabar un ko kahāñ aa.e kahāñ tak pahuñche
in mazālim kā ye anjām na.ī baat nahīñ
saiñkaḌoñ baar qayāmat ke nishāñ tak pahuñche
rāhbar koī na thā aur nishānāt na the
dil ḳhizar ban ke chalā hai to vahāñ tak pahuñche
ḳhaak hī ḳhaak nazar aaya hameñ apnā vajūd
bhes badle hue go bazm-e-jahāñ tak pahuñche
terī ejāz-bayānī ke ye charche 'ejāz'
ab to har bazm meñ har ahl-e-zabāñ tak pahuñche
be-KHabar kaise koi raaz-e-nihan tak pahunche
baat dil se kahin nikle to zaban tak pahunche
sahiban-e-KHirad-o-hosh bhaTakte hi phire
aur diwanon ka ji chaha jahan tak pahunche
tere diwanon ki manzil koi manzil hi nahin
kya KHabar un ko kahan aae kahan tak pahunche
in mazalim ka ye anjam nai baat nahin
sainkaDon bar qayamat ke nishan tak pahunche
rahbar koi na tha aur nishanat na the
dil KHizar ban ke chala hai to wahan tak pahunche
KHak hi KHak nazar aaya hamein apna wajud
bhes badle hue go bazm-e-jahan tak pahunche
teri ejaz-bayani ke ye charche 'ejaz'
ab to har bazm mein har ahl-e-zaban tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.