be-KHabar saeban abhi tak hai
be-ḳhabar sā.ebāñ abhī tak hai
dhuup mujh par yahāñ abhī tak hai
mere hone kā kyā yaqīn use
ḳhud mujhe bhī gumāñ abhī tak hai
raaz to khul gayā zamāne par
aur vo rāz-dāñ abhī tak hai
aaj bhī to vahī hai nahr-e-furāt
kyā vahī hukmarāñ abhī tak hai
sab to sairāb ho ga.e 'manzar'
kyuuñ ye jū-e-ravāñ abhī tak hai
be-KHabar saeban abhi tak hai
dhup mujh par yahan abhi tak hai
mere hone ka kya yaqin use
KHud mujhe bhi guman abhi tak hai
raaz to khul gaya zamane par
aur wo raaz-dan abhi tak hai
aaj bhi to wahi hai nahr-e-furaat
kya wahi hukmaran abhi tak hai
sab to sairab ho gae 'manzar'
kyun ye ju-e-rawan abhi tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.