be-KHata ko saza to dete hain
be-ḳhatā ko sazā to dete haiñ
jalte dil ko havā to dete haiñ
ajnabī log achchhe lagte haiñ
dekh kar muskurā to dete haiñ
chāhe jiine kī chāhe marne kī
chāra-gar kuchh davā to dete haiñ
rishta ab jaise khoTā sikka hai
phir bhī is ko chalā to dete haiñ
chāhe milte nahīñ pate par vo
phir bhī apnā pata to dete haiñ
aa.ina mere sāmne rakh kar
mujh ko mujh se milā to dete haiñ
mujh ko ḳhāna-ba-dosh kar ke vo
sab ke dil meñ basā to dete haiñ
be-KHata ko saza to dete hain
jalte dil ko hawa to dete hain
ajnabi log achchhe lagte hain
dekh kar muskura to dete hain
chahe jine ki chahe marne ki
chaara-gar kuchh dawa to dete hain
rishta ab jaise khoTa sikka hai
phir bhi is ko chala to dete hain
chahe milte nahin pate par wo
phir bhi apna pata to dete hain
aaina mere samne rakh kar
mujh ko mujh se mila to dete hain
mujh ko KHana-ba-dosh kar ke wo
sab ke dil mein basa to dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.