be-KHataon ko giraftar kiya ho to bata
be-ḳhatāoñ ko giraftār kiyā ho to batā
ham ne aisā kabhī ai yaar kiyā ho to batā
rū-ba-rū tere kiyā jo bhī kiyā hai maiñ ne
pusht par terī kabhī vaar kiyā ho to batā
sabr aur zabt se hī kaam liyā hai maiñ ne
tujh ko rusvā sar-e-bāzār kiyā ho to batā
bārhā jaan pe khele haiñ vatan kī ḳhātir
phir bhī ham ne kabhī iz.hār kiyā ho to batā
tū ne ghuT ghuT ke hameñ jiine pe majbūr kiyā
phir bhī jiinā terā dushvār kiyā ho to batā
dil kī betābiyāñ siine meñ chhupā kar rakkhīñ
apne jazbāt ko 'bedār' kiyā ho to batā
be-KHataon ko giraftar kiya ho to bata
hum ne aisa kabhi ai yar kiya ho to bata
ru-ba-ru tere kiya jo bhi kiya hai main ne
pusht par teri kabhi war kiya ho to bata
sabr aur zabt se hi kaam liya hai main ne
tujh ko ruswa sar-e-bazar kiya ho to bata
barha jaan pe khele hain watan ki KHatir
phir bhi hum ne kabhi izhaar kiya ho to bata
tu ne ghuT ghuT ke hamein jine pe majbur kiya
phir bhi jina tera dushwar kiya ho to bata
dil ki betabiyan sine mein chhupa kar rakkhin
apne jazbaat ko 'bedar' kiya ho to bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.