be-KHatar ranjish-e-dildar uThai jae
be-ḳhatar ranjish-e-dildār uThā.ī jaa.e
jaise dīvār pe dīvār uThā.ī jaa.e
dushmanī aur baḌhāne kā irāda jo nahīñ
rakh ke kyoñ paañv pe dastār uThā.ī jaa.e
thak gayā huuñ maiñ uThāte hue āvāzoñ ko
sochtā huuñ koī talvār uThā.ī jaa.e
roz vo vasl ke badle meñ alam detā hai
kyoñ na ye ḳhvāhish-e-be-kār uThā.ī jaa.e
tujh ko bhī ilm nahīñ hai ki tirī chaukhaT par
ḳhilqat-e-shahr hai bezār uThā.ī jaa.e
dūsrī baar yaqīñ ishq pe aatā hai kise
ye qasam vo hai jo ik baar uThā.ī jaa.e
rush jo baḌh jaa.e ḳharīdāriyāñ kam hotī haiñ
kuchh na kuchh raunaq-e-bāzār uThā.ī jaa.e
bādbānoñ ke sahāroñ pe raho mat 'e.ajāz'
hai havā band to patvār uThā.ī jaa.e
be-KHatar ranjish-e-dildar uThai jae
jaise diwar pe diwar uThai jae
dushmani aur baDhane ka irada jo nahin
rakh ke kyon panw pe dastar uThai jae
thak gaya hun main uThate hue aawazon ko
sochta hun koi talwar uThai jae
roz wo wasl ke badle mein alam deta hai
kyon na ye KHwahish-e-be-kar uThai jae
tujh ko bhi ilm nahin hai ki teri chaukhaT par
KHilqat-e-shahr hai bezar uThai jae
dusri bar yaqin ishq pe aata hai kise
ye qasam wo hai jo ek bar uThai jae
rush jo baDh jae KHaridariyan kam hoti hain
kuchh na kuchh raunaq-e-bazar uThai jae
baadbanon ke sahaaron pe raho mat 'eajaz'
hai hawa band to patwar uThai jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.