be-KHayali ki rida dur talak tani hai
be-ḳhayālī kī ridā duur talak taanī hai
ab to ye bhī nahīñ lagtā ki pareshānī hai
sard mausam meñ bhaḌak uTThī hai tanhā.ī kī aag
jo baḌhā detī hai mushkil vahī āsānī hai
āb-e-girya se hai dīdār kī sūrat paidā
dekhiye ġhaur se aañkh aañkh nahīñ paanī hai
maiñ to ehsās kī tasvīr banā baiThā huuñ
raunaq-e-bazm-e-tasavvur mirī hairānī hai
ye jo duniyā hai ye duniyā kī banā.ī huī hai
aadmī kyā hai nazariyāt kī shaitānī hai
ye ġhazal sun ke kaheñge ‘qamar-abbās-qamar'
yaar 'abbās-qamar' tum ne 'ajab Thānī hai
be-KHayali ki rida dur talak tani hai
ab to ye bhi nahin lagta ki pareshani hai
sard mausam mein bhaDak uTThi hai tanhai ki aag
jo baDha deti hai mushkil wahi aasani hai
aab-e-girya se hai didar ki surat paida
dekhiye ghaur se aankh aankh nahin pani hai
main to ehsas ki taswir bana baiTha hun
raunaq-e-bazm-e-tasawwur meri hairani hai
ye jo duniya hai ye duniya ki banai hui hai
aadmi kya hai nazariyat ki shaitani hai
ye ghazal sun ke kahenge ‘qamar-abbas-qamar'
yar 'abbas-qamar' tum ne 'ajab Thani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.