be-KHayali mein na jaane kya se kya likhti rahi
be-ḳhayālī meñ na jaane kyā se kyā likhtī rahī
ek patthar ko mohabbat kā ḳhudā likhtī rahī
bārhā mazlūm ġhunchoñ ko taḌaptā dekh kar
zard pattoñ par lahū se karbalā likhtī rahī
kārvāñ luTne pe ab ḳhud se bahut bezār huuñ
jaane kyoñ maiñ rahzanoñ ko rahnumā likhtī rahī
vo sar-e-bāzār saudā-e-vafā kartā rahā
naam jis kā maiñ hamesha bā-vafā likhtī rahī
bebasī kī shaam ko jab muḳhtasar likhnā paḌā
dard ke sahrā meñ shām-e-karbalā likhtī rahī
sang se bhī saḳht niklā āḳhirash vo dil bahut
umr bhar jis ko 'shabīna' aa.ina likhtī rahī
be-KHayali mein na jaane kya se kya likhti rahi
ek patthar ko mohabbat ka KHuda likhti rahi
barha mazlum ghunchon ko taDapta dekh kar
zard patton par lahu se karbala likhti rahi
karwan luTne pe ab KHud se bahut bezar hun
jaane kyon main rahzanon ko rahnuma likhti rahi
wo sar-e-bazar sauda-e-wafa karta raha
nam jis ka main hamesha ba-wafa likhti rahi
bebasi ki sham ko jab muKHtasar likhna paDa
dard ke sahra mein sham-e-karbala likhti rahi
sang se bhi saKHt nikla aaKHirash wo dil bahut
umr bhar jis ko 'shabina' aaina likhti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.