be-KHud hain tere jalwa-e-tauba-shikan se hum
be-KHud hain tere jalwa-e-tauba-shikan se hum
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
be-ḳhud haiñ tere jalva-e-tauba-shikan se ham
haiñ be-niyāz bāda-e-ranj-o-mehan se ham
vo bhī junūn-e-ishq meñ mādūm ho ga.e
jo naqsh le chale the tirī anjuman se ham
guldasta-e-bahār ne dil se lagā liyā
bād-e-ḳhizāñ ke hāthoñ jo nikle chaman se ham
milte the pahle shauq ko sahrā na.e na.e
ab to junūñ meñ khelte haiñ pairahan se ham
har bul-havas ko da.avā-e-mansūr ho gayā
ab jāñ-ba-lab haiñ na.ara-e-dār-o-rasan se ham
qadreñ bhī hausle bhī masā.il bhī ishq bhī
zulf-e-ġhazal sajāte haiñ kis bāñkpan se ham
dil kyā gayā 'kalīm' ga.iiñ guf-fishāniyāñ
uljhe hue haiñ dāman-e-ḳhār-e-vatan se ham
be-KHud hain tere jalwa-e-tauba-shikan se hum
hain be-niyaz baada-e-ranj-o-mehan se hum
wo bhi junun-e-ishq mein madum ho gae
jo naqsh le chale the teri anjuman se hum
guldasta-e-bahaar ne dil se laga liya
baad-e-KHizan ke hathon jo nikle chaman se hum
milte the pahle shauq ko sahra nae nae
ab to junun mein khelte hain pairahan se hum
har bul-hawas ko dawa-e-mansur ho gaya
ab jaan-ba-lab hain nara-e-dar-o-rasan se hum
qadren bhi hausle bhi masail bhi ishq bhi
zulf-e-ghazal sajate hain kis bankpan se hum
dil kya gaya 'kalim' gain guf-fishaniyan
uljhe hue hain daman-e-KHar-e-watan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.