be-KHudi aaj rang lai hai
be-ḳhudī aaj rang laa.ī hai
baat dil kī zabāñ pe aa.ī hai
umr bhar ḳhuun meñ nahā.ī hai
zindagī kitnī raas aa.ī hai
un ke zaanū pe niiñd aa.ī hai
maut kitnī hasīn paa.ī hai
phuul gulshan meñ muskurā.e haiñ
aap kī yaad jab bhī aa.ī hai
kuchh diloñ kī tabāhiyoñ ko na pūchh
maut insāniyat pe chhā.ī hai
ab qadam laḌkhaḌā.e jaate haiñ
jaise manzil qarīb aa.ī hai
bas usī kā maqām hai jannat
zindagī jis ne ḳhud banā.ī hai
arsh se do qadam vo hai aage
us ne manzil mirī batā.ī hai
tīra-baḳhtī meñ ġhair hī ne nahīñ
dostoñ ne hañsī uḌaa.ī hai
be-KHudi aaj rang lai hai
baat dil ki zaban pe aai hai
umr bhar KHun mein nahai hai
zindagi kitni ras aai hai
un ke zanu pe nind aai hai
maut kitni hasin pai hai
phul gulshan mein muskurae hain
aap ki yaad jab bhi aai hai
kuchh dilon ki tabahiyon ko na puchh
maut insaniyat pe chhai hai
ab qadam laDkhaDae jate hain
jaise manzil qarib aai hai
bas usi ka maqam hai jannat
zindagi jis ne KHud banai hai
arsh se do qadam wo hai aage
us ne manzil meri batai hai
tira-baKHti mein ghair hi ne nahin
doston ne hansi uDai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.