be-KHudi ke ajab hisar mein hai
be-ḳhudī ke ajab hisār meñ hai
shahr-e-dil kis ke intizār meñ hai
phir vo aa.egā aur manā.egā
dil abhī tak is e.atibār meñ hai
aa tujhe kuchh tasalliyāñ de duuñ
aur kyā mere iḳhtiyār meñ hai
kyā ḳhizāñ kā gila kare koī
dil ḳharāba bharī bahār meñ hai
shab guzartī thī āh-o-zārī meñ
be-kalī ab kahāñ vo pyaar meñ hai
zindagī DhūñDhtī hai jā-e-panāh
aadmī ab bhī ik fishār meñ hai
go 'sharāfat' tavīl ho tahrīr
husn-e-tahrīr iḳhtisār meñ hai
be-KHudi ke ajab hisar mein hai
shahr-e-dil kis ke intizar mein hai
phir wo aaega aur manaega
dil abhi tak is eatibar mein hai
aa tujhe kuchh tasalliyan de dun
aur kya mere iKHtiyar mein hai
kya KHizan ka gila kare koi
dil KHaraba bhari bahaar mein hai
shab guzarti thi aah-o-zari mein
be-kali ab kahan wo pyar mein hai
zindagi DhunDhti hai ja-e-panah
aadmi ab bhi ek fishaar mein hai
go 'sharafat' tawil ho tahrir
husn-e-tahrir iKHtisar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.