be-KHudi mein bhi zaban par bas unhin ka nam tha
be-ḳhudī meñ bhī zabāñ par bas unhīñ kā naam thā
merī hasrat tak rahī thī maiñ yūñhī badnām thā
chāñd mere chāñd ke jalve se fauran chhup gayā
merā dilbar shoḳh jab raunaq-faroz-e-bām thā
bā.is-e-shohrat hai duniyā meñ suḳhan-dānī mirī
kār-farmā sho.ala-ruḳh koī saman-andām thā
dil kī dhaḌkan phir na.e sar se sivā hone lagī
nāseho kūche meñ un ke kuchh qadar ārām thā
vā.e-nākāmī 'jalālī' rote rote gum huā
yaad paiham aatā hai garche bahut badnām thā
be-KHudi mein bhi zaban par bas unhin ka nam tha
meri hasrat tak rahi thi main yunhi badnam tha
chand mere chand ke jalwe se fauran chhup gaya
mera dilbar shoKH jab raunaq-faroz-e-baam tha
bais-e-shohrat hai duniya mein suKHan-dani meri
kar-farma shoala-ruKH koi saman-andam tha
dil ki dhaDkan phir nae sar se siwa hone lagi
naseho kuche mein un ke kuchh qadar aaram tha
wae-nakaami 'jalali' rote rote gum hua
yaad paiham aata hai garche bahut badnam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.