be-mausam ki barish mein duniya jal-thal ho jae
be-mausam kī bārish meñ duniyā jal-thal ho jaa.e
apnā dukh kah duuñ to patthar bhī pāgal ho jaa.e
merī ragoñ meñ phail rahā hai mahrūmī kā zahr
jis dariyā par jaan luTā.ūñ vo bādal ho jaa.e
apne liye to ek se haiñ sab ḳhitte duniyā ke
jis dhartī par paañv rakheñ ham vo daldal ho jaa.e
ham ko hai auqāt mohazzab logoñ kī mā'lūm
ek darinda jab chāhe bastī jangal ho jaa.e
be-mausam ki barish mein duniya jal-thal ho jae
apna dukh kah dun to patthar bhi pagal ho jae
meri ragon mein phail raha hai mahrumi ka zahr
jis dariya par jaan luTaun wo baadal ho jae
apne liye to ek se hain sab KHitte duniya ke
jis dharti par panw rakhen hum wo daldal ho jae
hum ko hai auqat mohazzab logon ki ma'lum
ek darinda jab chahe basti jangal ho jae
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 120)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.