be-mehri-e-arbab-e-watan kam to nahin hai
![Syed Shafaq Shah Chishti Syed Shafaq Shah Chishti](https://www.rekhta.org/Content/Images/quill.png)
be-mehri-e-arbab-e-watan kam to nahin hai
Syed Shafaq Shah Chishti
MORE BYSyed Shafaq Shah Chishti
be-mehrī-e-arbāb-e-vatan kam to nahīñ hai
haañ dekhnā is dil kī chubhan kam to nahīñ hai
manzil to jahāñ chāheñge qadmoñ se lagegī
vaise ye haqīqat hai thakan kam to nahīñ hai
ye dhyān hamesha rahe o bhūlne vaale
chhāloñ kī tapish dil kī jalan kam to nahīñ hai
phir ho koī paimāñ kareñ phir tujh pe bharosa
ye hausla ai ahd-shikan kam to nahīñ hai
raste meñ zarā ham-safaro dekhte rahnā
kāñToñ ke bichhāne kā chalan kam to nahīñ hai
rakhtī hai ḳhayāl is kā bahut kuchh mirī taqdīr
pahle se mire dil kī kuḌhan kam to nahīñ hai
vo ġham hai ki yak-gūna asīrī kā hai aalam
ye sarzanish-e-ranj-o-mehan kam to nahīñ hai
kyā baat hai ab tak jo salāmat hai nasheman
kuchh be-ruḳhī-e-ahl-e-chaman kam to nahīñ hai
ye kah ke tujhe DhūñDegī duniyā 'shafaq' ik roz
mahfil meñ koī sāhab-e-fan kam to nahīñ hai
be-mehri-e-arbab-e-watan kam to nahin hai
han dekhna is dil ki chubhan kam to nahin hai
manzil to jahan chahenge qadmon se lagegi
waise ye haqiqat hai thakan kam to nahin hai
ye dhyan hamesha rahe o bhulne wale
chhaalon ki tapish dil ki jalan kam to nahin hai
phir ho koi paiman karen phir tujh pe bharosa
ye hausla ai ahd-shikan kam to nahin hai
raste mein zara ham-safaro dekhte rahna
kanTon ke bichhane ka chalan kam to nahin hai
rakhti hai KHayal is ka bahut kuchh meri taqdir
pahle se mere dil ki kuDhan kam to nahin hai
wo gham hai ki yak-guna asiri ka hai aalam
ye sarzanish-e-ranj-o-mehan kam to nahin hai
kya baat hai ab tak jo salamat hai nasheman
kuchh be-ruKHi-e-ahl-e-chaman kam to nahin hai
ye kah ke tujhe DhunDegi duniya 'shafaq' ek roz
mahfil mein koi sahab-e-fan kam to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.