be-mehri-e-dostan alag hai
be-mehrī-e-dostāñ alag hai
aur us pe ġham-e-jahāñ alag hai
a.asāb alag thake hue haiñ
aur dil hai ki sargirāñ alag hai
us rañj ko biich meñ na laao
us rañj kī dāstāñ alag hai
mauqūf hai jo tirī nazar par
vo lazzat-e-jāvedāñ alag hai
sarsabz hai jo tire karam se
vo shāḳh-e-malāl-e-jāñ alag hai
ai majma-e-ilm-o-fazl-o-dānish
tum sab se mirā bayāñ alag hai
lagtā hai maiñ ajnabī huuñ tum meñ
lagtā hai mirī zabāñ alag hai
be-mehri-e-dostan alag hai
aur us pe gham-e-jahan alag hai
aasab alag thake hue hain
aur dil hai ki sargiran alag hai
us ranj ko bich mein na lao
us ranj ki dastan alag hai
mauquf hai jo teri nazar par
wo lazzat-e-jawedan alag hai
sarsabz hai jo tere karam se
wo shaKH-e-malal-e-jaan alag hai
ai majma-e-ilm-o-fazl-o-danish
tum sab se mera bayan alag hai
lagta hai main ajnabi hun tum mein
lagta hai meri zaban alag hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.