be-mehri-e-qaza ke satae hue hain hum
be-mehrī-e-qazā ke satā.e hue haiñ ham
ilzām zindagī kā uThā.e hue haiñ ham
husn-e-sulūk-e-yār kā e.ajāz kyā kaheñ
sau daaġh ek dil pe uThā.e hue haiñ ham
ab kis se le qisās zamāne meñ munsifī
apne lahū meñ aap nahā.e hue haiñ ham
patthar ke ik sanam ko ba-sad nāz-o-tumturāq
shīshe ke pairahan meñ chhupā.e hue haiñ ham
jhuktī haiñ kaj-kulāhoñ kī peshāniyāñ jahāñ
us āshiyāñ meñ sar ko jhukā.e hue haiñ ham
hairāñ haiñ vo ki aise havasnāk daur meñ
tahzīb-e-ishq ab bhī nibhā.e hue haiñ ham
ashkoñ ke ghup gharoñ meñ thā aaseb kā ḳhatar
āñkhoñ ke diip yuuñ na jalā.e hue haiñ
is TūTte badan meñ vo Thahrāv hai sahar
janmoñ se bār-e-hijr uThā.e hue haiñ ham
hastī ke kārḳhāna-e-āhan meñ ai 'sahar'
zanjīr-e-jāñ ko ġham se lagā.e hue haiñ ham
be-mehri-e-qaza ke satae hue hain hum
ilzam zindagi ka uThae hue hain hum
husn-e-suluk-e-yar ka eajaz kya kahen
sau dagh ek dil pe uThae hue hain hum
ab kis se le qisas zamane mein munsifi
apne lahu mein aap nahae hue hain hum
patthar ke ek sanam ko ba-sad naz-o-tumturaq
shishe ke pairahan mein chhupae hue hain hum
jhukti hain kaj-kulahon ki peshaniyan jahan
us aashiyan mein sar ko jhukae hue hain hum
hairan hain wo ki aise hawasnak daur mein
tahzib-e-ishq ab bhi nibhae hue hain hum
ashkon ke ghup gharon mein tha aaseb ka KHatar
aankhon ke dip yun na jalae hue hain
is TuTte badan mein wo Thahraw hai sahar
janmon se bar-e-hijr uThae hue hain hum
hasti ke karKHana-e-ahan mein ai 'sahar'
zanjir-e-jaan ko gham se lagae hue hain hum
- Book : Sahil se duur (Pg. 59)
- Author : Shamshaad sahar
- Publication : Urdu Markaz, 15 chajju Bag, Patna (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.