be-murawwat hai zindagi kaisi
be-muravvat hai zindagī kaisī
phir bhī us se ye dostī kaisī
aaj mahfil meñ ho gayā tanhā
sach kī 'ādat ye paḌ ga.ī kaisī
din nikaltā hai raat hotī hai
aur hotī hai zindagī kaisī
agle dam kā patā nahīñ lekin
baat kartā hai aadmī kaisī
ik zarā se mafād kī ḳhātir
dum hilātā hai aadmī kaisī
zaḳhm khāyā to ye samajh aaya
duniyā hotī hai matlabī kaisī
mere luTne kī dāstāñ sun kar
tere lahje meñ be-ruḳhī kaisī
aise makkār daur meñ 'vāmiq'
tere chehre pe sādgī kaisī
be-murawwat hai zindagi kaisi
phir bhi us se ye dosti kaisi
aaj mahfil mein ho gaya tanha
sach ki 'adat ye paD gai kaisi
din nikalta hai raat hoti hai
aur hoti hai zindagi kaisi
agle dam ka pata nahin lekin
baat karta hai aadmi kaisi
ek zara se mafad ki KHatir
dum hilata hai aadmi kaisi
zaKHm khaya to ye samajh aaya
duniya hoti hai matlabi kaisi
mere luTne ki dastan sun kar
tere lahje mein be-ruKHi kaisi
aise makkar daur mein 'wamiq'
tere chehre pe sadgi kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.