be-nala-o-fariyaad-o-fughan rah nahin sakte
be-nāla-o-fariyād-o-fuġhāñ rah nahīñ sakte
qahr is pe ye hai is kā sabab kah nahīñ sakte
maujeñ haiñ tabī'at meñ magar uTh nahīñ saktīñ
dariyā haiñ mire dil meñ magar bah nahīñ sakte
patvār shikasta hai nahīñ tāqat-e-garmī
hai naav meñ sūrāḳh magar kah nahīñ sakte
kah doge ki hai tajraba is baat ke bar-‘aks
kyūñkar ye kaheñ zulm-o-sitam sah nahīñ sakte
'izzat kabhī vo thī ki bhulā.e se na bhūle
tahqīr ab aisī hai jise sah nahīñ sakte
be-nala-o-fariyaad-o-fughan rah nahin sakte
qahr is pe ye hai is ka sabab kah nahin sakte
maujen hain tabi'at mein magar uTh nahin saktin
dariya hain mere dil mein magar bah nahin sakte
patwar shikasta hai nahin taqat-e-garmi
hai naw mein suraKH magar kah nahin sakte
kah doge ki hai tajraba is baat ke bar-‘aks
kyunkar ye kahen zulm-o-sitam sah nahin sakte
'izzat kabhi wo thi ki bhulae se na bhule
tahqir ab aisi hai jise sah nahin sakte
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 62)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.