be-nam se phirte the kaam aa gai ruswai
be-nām se phirte the kaam aa ga.ī rusvā.ī
har ajnabī chehre par pahchān ubhar aa.ī
har raat dar-e-dil par dastak diye jaatā hai
sone hī nahīñ detā ik jazba-e-saudā.ī
jo bā.is-e-ranjish thī us baat kā charchā kyā
us ne bhī nahīñ pūchhī maiñ ne bhī na dohrā.ī
ġham ek musāfir hai kyā jaane kahāñ Thahre
āñkhoñ kī namī bah kar lahje meñ utar aa.ī
ham 'kaif' thake haare chaurāhe pe jā baiThe
DhūñDī to kahāñ jā kar is shahr meñ tanhā.ī
be-nam se phirte the kaam aa gai ruswai
har ajnabi chehre par pahchan ubhar aai
har raat dar-e-dil par dastak diye jata hai
sone hi nahin deta ek jazba-e-saudai
jo bais-e-ranjish thi us baat ka charcha kya
us ne bhi nahin puchhi main ne bhi na dohrai
gham ek musafir hai kya jaane kahan Thahre
aankhon ki nami bah kar lahje mein utar aai
hum 'kaif' thake haare chaurahe pe ja baiThe
DhunDi to kahan ja kar is shahr mein tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.