be-niyaz-e-shab-e-tanhai hai
be-niyāz-e-shab-e-tanhā.ī hai
aaj bīmār ko niiñd aa.ī hai
dil ko paiġhām-e-junūñ aaya thā
maiñ ye samjhā ki bahār aa.ī hai
laakh parda kare koī ham se
ham ne bhī koī nazar paa.ī hai
har-nafas bār-e-garāñ guzrā hai
yuuñ bhī aksar tirī yaad aa.ī hai
koī apnā hai na begāna 'ziyā'
ab to maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai
be-niyaz-e-shab-e-tanhai hai
aaj bimar ko nind aai hai
dil ko paigham-e-junun aaya tha
main ye samjha ki bahaar aai hai
lakh parda kare koi hum se
hum ne bhi koi nazar pai hai
har-nafas bar-e-garan guzra hai
yun bhi aksar teri yaad aai hai
koi apna hai na begana 'ziya'
ab to main hun meri tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.