be-niyaz-e-sukun-e-manzil hai
be-niyāz-e-sukūn-e-manzil hai
zindagī irtiqā pe maa.il hai
gum hai yuuñ fikr-e-kā.enāt meñ dil
yād-e-mahbūb se bhī ġhāfil hai
fan faqat husn ko nahīñ kahte
is meñ ḳhūn-e-jigar bhī shāmil hai
tujh pe qurbān ai ġham-e-daurāñ
tū mirī zindagī kā hāsil hai
aap kyā jāneñ shorish-e-tūfāñ
aap kā dil rahīn-e-sāhil hai
aao kirnoñ ke khoj meñ nikleñ
tīrgī se nibāh mushkil hai
aap apne zamīr se sharmā.eñ
aa.ina aap ke muqābil hai
be-niyaz-e-sukun-e-manzil hai
zindagi irtiqa pe mail hai
gum hai yun fikr-e-kaenat mein dil
yaad-e-mahbub se bhi ghafil hai
fan faqat husn ko nahin kahte
is mein KHun-e-jigar bhi shamil hai
tujh pe qurban ai gham-e-dauran
tu meri zindagi ka hasil hai
aap kya jaanen shorish-e-tufan
aap ka dil rahin-e-sahil hai
aao kirnon ke khoj mein niklen
tirgi se nibah mushkil hai
aap apne zamir se sharmaen
aaina aap ke muqabil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.