be-niyazana bahakna be-KHudi ka husn hai
be-niyāzāna bahaknā be-ḳhudī kā husn hai
tauba kahte haiñ jise vo mai-kashī kā husn hai
rind ham bhī haiñ magar jām-o-subū se be-niyāz
nashshe kā idrāk hī tishna-labī kā husn hai
be-irāda maan jaanā bā.is-e-taskīñ sahī
bil-irāda ruuTh jaanā barhamī kā husn hai
hosh meñ sajda dikhāvā hai koī sajda nahīñ
sar jhukā kar bhuul jaanā bandagī kā husn hai
husn-e-fitrat kab huā nīlām itnā sochiye
jins-e-arzāñ jis ko kahiye aadmī kā husn hai
kyā huā jo husn vaale hī 'vasī' se duur duur
kab añdheroñ kī nazar meñ raushnī kā husn hai
be-niyazana bahakna be-KHudi ka husn hai
tauba kahte hain jise wo mai-kashi ka husn hai
rind hum bhi hain magar jam-o-subu se be-niyaz
nashshe ka idrak hi tishna-labi ka husn hai
be-irada man jaana bais-e-taskin sahi
bil-irada ruTh jaana barhami ka husn hai
hosh mein sajda dikhawa hai koi sajda nahin
sar jhuka kar bhul jaana bandagi ka husn hai
husn-e-fitrat kab hua nilam itna sochiye
jins-e-arzan jis ko kahiye aadmi ka husn hai
kya hua jo husn wale hi 'wasi' se dur dur
kab andheron ki nazar mein raushni ka husn hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.