be-niyazi ke silsile mein hun
be-niyāzī ke silsile meñ huuñ
maiñ kahāñ ab tire nashe meñ huuñ
hijr terā mujhe satātā hai
aur baaqī to bas maze meñ huuñ
DhūñDh mat in udaas āñkhoñ meñ
ġhaur kar tere qahqahe meñ huuñ
vo mujhe ab bhī chāhtā hogā
maiñ abhī tak muġhālate meñ huuñ
har taraf mahfileñ ḳhayāloñ kī
ishq ke shāhī mahkame meñ huuñ
toḌ kar hī nikāl le koī
qaid maiñ apne dā.ere meñ huuñ
us ko manzil bhī mil ga.ī apnī
aur maiñ huuñ ki rāste meñ huuñ
be-niyazi ke silsile mein hun
main kahan ab tere nashe mein hun
hijr tera mujhe satata hai
aur baqi to bas maze mein hun
DhunDh mat in udas aankhon mein
ghaur kar tere qahqahe mein hun
wo mujhe ab bhi chahta hoga
main abhi tak mughaalate mein hun
har taraf mahfilen KHayalon ki
ishq ke shahi mahkame mein hun
toD kar hi nikal le koi
qaid main apne daere mein hun
us ko manzil bhi mil gai apni
aur main hun ki raste mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.