be-niyaziyon mein hai haal ye ataon ka
be-niyāziyoñ meñ hai haal ye atāoñ kā
baT rahā hai chīloñ meñ rizq fāḳhtāoñ kā
us kā jism bhī niklā zaḳhm zaḳhm mujh sā hī
khul gayā bharam saarā reshmī qabāoñ kā
apnī chaar dīvārī se na jā sakeñ bāhar
haal ye huā apnī be-asar duāoñ kā
ab ghuTan hī behtar hai apne āshiyānoñ kī
e'tibār mat karnā ātishī havāoñ kā
tūr-e-āgahī par jab aap hī savālī thā
kyā javāb detā maiñ apnī hī sadāoñ kā
be-niyaziyon mein hai haal ye ataon ka
baT raha hai chilon mein rizq faKHtaon ka
us ka jism bhi nikla zaKHm zaKHm mujh sa hi
khul gaya bharam sara reshmi qabaon ka
apni chaar diwari se na ja saken bahar
haal ye hua apni be-asar duaon ka
ab ghuTan hi behtar hai apne aashiyanon ki
e'tibar mat karna aatishi hawaon ka
tur-e-agahi par jab aap hi sawali tha
kya jawab deta main apni hi sadaon ka
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 357)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.