be-parda ho ke jab wo lab-e-baam aa gaya
be-parda ho ke jab vo lab-e-bām aa gayā
āñkhoñ pe merī diid kā ilzām aa gayā
tā-sub.h karvaTeñ hī badalte raheñge ham
un kā agar ḳhayāl sar-e-shām aa gayā
bebākiyoñ pe un kī kisī ne nazar na kī
merī nigāh-e-shauq pe ilzām aa gayā
is daur meñ bahut hī ġhanīmat kaho use
dukh meñ agar kisī ke koī kaam aa gayā
kitnī hamārī umr-e-mohabbat thī muḳhtasar
āġhāz hī kiyā thā ki anjām aa gayā
duniyā ke ġham bhī ham ne usī meñ Dubo diye
'amjad' nigāh-e-nāz kā jab jaam aa gayā
be-parda ho ke jab wo lab-e-baam aa gaya
aankhon pe meri did ka ilzam aa gaya
ta-subh karwaTen hi badalte rahenge hum
un ka agar KHayal sar-e-sham aa gaya
bebakiyon pe un ki kisi ne nazar na ki
meri nigah-e-shauq pe ilzam aa gaya
is daur mein bahut hi ghanimat kaho use
dukh mein agar kisi ke koi kaam aa gaya
kitni hamari umr-e-mohabbat thi muKHtasar
aaghaz hi kiya tha ki anjam aa gaya
duniya ke gham bhi hum ne usi mein Dubo diye
'amjad' nigah-e-naz ka jab jam aa gaya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 208)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.