be-qadron ki baat na chheDo dukh hota hai
be-qadroñ kī baat na chheḌo dukh hotā hai
yuuñ na hamāre zaḳhm kuredo dukh hotā hai
tum ne ta.alluq toḌā thā apnī marzī se
mere sar ilzām na Daalo dukh hotā hai
mujh ko bahlāne kī koshish bhī mat karnā
jhūTī hamdardī rahne do dukh hotā hai
bin tere din jaise-taise kaaT liyā par
kaise guzrī raat na pūchho dukh hotā hai
phūloñ aur kaliyoñ kī bāteñ-vāteñ chhoḌo
dukhtī rag par haath na rakkho dukh hotā hai
shā.er huuñ tanhā.ī mujh ko raas aatī hai
logo mere paas na baiTho dukh hotā hai
tere baa'd mire dil par kyā kyā guzrī hai
jaane do 'sāgar' jī chhoḌo dukh hotā hai
be-qadron ki baat na chheDo dukh hota hai
yun na hamare zaKHm kuredo dukh hota hai
tum ne talluq toDa tha apni marzi se
mere sar ilzam na Dalo dukh hota hai
mujh ko bahlane ki koshish bhi mat karna
jhuTi hamdardi rahne do dukh hota hai
bin tere din jaise-taise kaT liya par
kaise guzri raat na puchho dukh hota hai
phulon aur kaliyon ki baaten-waten chhoDo
dukhti rag par hath na rakkho dukh hota hai
shaer hun tanhai mujh ko ras aati hai
logo mere pas na baiTho dukh hota hai
tere ba'd mere dil par kya kya guzri hai
jaane do 'sagar' ji chhoDo dukh hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.