be-qarari hai bahut KHud se be-qarar bhi hai
be-qarārī hai bahut ḳhud se be-qarār bhī hai
us ke hoñToñ tale iqrār bhī inkār bhī hai
duuñ sadā.eñ jo pukārā karūñ sab nā-manzūr
ḳhuub andar hai anā is liye lāchār bhī hai
dil meñ kyā hādsa bechain kiye rahtā hai
jaane kis baat pe ranjūr ḳhatāvār bhī hai
jis kī ḳhātir maiñ rahī duur zamāne bhar se
merā dushman hai vah.y jānāñ merā pyaar bhī hai
ek din lauT ke aa.egā yaqīñ hai mujh ko
saḳht hai aadmī yuuñ bhī zarā tahdār bhī hai
phuul ke jaisā hai 'raunaq' use maiñ jāntī huuñ
ain lahje meñ kaḌak hai kahīñ talvār bhī hai
be-qarari hai bahut KHud se be-qarar bhi hai
us ke honTon tale iqrar bhi inkar bhi hai
dun sadaen jo pukara karun sab na-manzur
KHub andar hai ana is liye lachaar bhi hai
dil mein kya hadsa bechain kiye rahta hai
jaane kis baat pe ranjur KHatawar bhi hai
jis ki KHatir main rahi dur zamane bhar se
mera dushman hai wahy jaanan mera pyar bhi hai
ek din lauT ke aaega yaqin hai mujh ko
saKHt hai aadmi yun bhi zara tahdar bhi hai
phul ke jaisa hai 'raunaq' use main jaanti hun
ain lahje mein kaDak hai kahin talwar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.