be-qarari hai ki aasar ye jhanjhaT ke hain
be-qarārī hai ki āsār ye jhanjhaT ke haiñ
vasvase in dinoñ dil meñ na.ī aahaT ke haiñ
vo na aa.e to utarte nahīñ paanī meñ bataḳh
us ke naqqāl bhī dil bāḳhtā panghaT ke haiñ
chheḌte haiñ mujhe mahrūm-e-tamannā kah kar
ek do in meñ yaqīnan usī naTkhaT ke haiñ
hai ye duniyā baḌī harrāfa magar dil vaale
ḳhūgar-e-ġham haiñ azal se tirī chaukhaT ke haiñ
ham muqallid haiñ tire hai hameñ marġhūb jamāl
aur vo log samajhte haiñ ki ham bhaTke haiñ
koī parḳhāsh pe uksātā nahīñ hazrat ko
ya.anī badnām ziyāda hī mire jhaTke haiñ
itnā phūleñ na ka.ī ghaaT kā paanī pī kar
TuuT jā.eñge ki miTTī hī ke sab maTke haiñ
hazm hoñge na ye ash.ār to siflī nāqid
qai kareñge ki vo kārinde milāvaT ke haiñ
apne ham-asroñ meñ mumtāz nahīñ haiñ lekin
'sarfarāz-āzmī’ logoñ se zarā haT ke haiñ
be-qarari hai ki aasar ye jhanjhaT ke hain
waswase in dinon dil mein nai aahaT ke hain
wo na aae to utarte nahin pani mein bataKH
us ke naqqal bhi dil baKHta panghaT ke hain
chheDte hain mujhe mahrum-e-tamanna kah kar
ek do in mein yaqinan usi naTkhaT ke hain
hai ye duniya baDi harrafa magar dil wale
KHugar-e-gham hain azal se teri chaukhaT ke hain
hum muqallid hain tere hai hamein marghub jamal
aur wo log samajhte hain ki hum bhaTke hain
koi parKHash pe uksata nahin hazrat ko
yani badnam ziyaada hi mere jhaTke hain
itna phulen na kai ghaT ka pani pi kar
TuT jaenge ki miTTi hi ke sab maTke hain
hazm honge na ye ashaar to sifli naqid
qai karenge ki wo karinde milawaT ke hain
apne ham-asron mein mumtaz nahin hain lekin
'sarfaraaz-azmi’ logon se zara haT ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.