be-qarari hai shab-e-hijr hai tanhai hai
be-qarārī hai shab-e-hijr hai tanhā.ī hai
aaj kī raat mirī jaan pe ban aa.ī hai
be-ḳhabar hai vo mire haal se harjā.ī hai
dil hai nādāñ usī be-dard kā shaidā.ī hai
aaj āñkhoñ se mirī ashk haiñ jaarī paiham
aaj har choT mire dil kī ubhar aa.ī hai
vahshat-e-dil kā taqāzā hai ki milnā un se
ham ne sau baar na milne kī qasam khaa.ī hai
merī āvāra-mizājī ke haiñ charche har-sū
haa.e kis moḌ pe ulfat mujhe le aa.ī hai
kal vo kahte the 'ziyā' se haiñ marāsim gahre
ab vo kahte haiñ ki haañ un se shanāsā.ī hai
be-qarari hai shab-e-hijr hai tanhai hai
aaj ki raat meri jaan pe ban aai hai
be-KHabar hai wo mere haal se harjai hai
dil hai nadan usi be-dard ka shaidai hai
aaj aankhon se meri ashk hain jari paiham
aaj har choT mere dil ki ubhar aai hai
wahshat-e-dil ka taqaza hai ki milna un se
hum ne sau bar na milne ki qasam khai hai
meri aawara-mizaji ke hain charche har-su
hae kis moD pe ulfat mujhe le aai hai
kal wo kahte the 'ziya' se hain marasim gahre
ab wo kahte hain ki han un se shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.