be-rabt mausamon mein samoe gae the log
be-rabt mausamoñ meñ samo.e ga.e the log
kyā kahiye kis laḌī meñ piro.e ga.e the log
be-nām rāstoñ ke safar kā savāl thā
nafrat kī naddiyoñ meñ Dubo.e ga.e the log
bīnā.iyāñ simaT ke palaTtī thiiñ apnī samt
apnī anā ke dasht meñ kho.e ga.e the log
yuuñ to safar meñ chāñd sitāre the ham-rikāb
phir bhī ‘azāb-e-shab meñ piro.e ga.e the log
Thahrā huā vo lamha abhī tak ḳhalā meñ hai
jab tīrgī ke ġhaar meñ Dho.e ga.e the log
nākām ho ke dhuup zamīñ se palaT ga.ī
'ansar' na jaane kaise bhigo.e ga.e the log
be-rabt mausamon mein samoe gae the log
kya kahiye kis laDi mein piroe gae the log
be-nam raston ke safar ka sawal tha
nafrat ki naddiyon mein Duboe gae the log
binaiyan simaT ke palaTti thin apni samt
apni ana ke dasht mein khoe gae the log
yun to safar mein chand sitare the ham-rikab
phir bhi ‘azab-e-shab mein piroe gae the log
Thahra hua wo lamha abhi tak KHala mein hai
jab tirgi ke ghaar mein Dhoe gae the log
nakaam ho ke dhup zamin se palaT gai
'ansar' na jaane kaise bhigoe gae the log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.